Janmashtami Bhajans: Bhajans for Janmashtami,Krishna Janmashtami Bhajans

The festivity of Janmashtami will be incomplete without singing bhajans or hymns in praise of lord Krishna. There are various bhajans describing the feats and accomplishments of Lord. Few of the bhajans are listed below to be sung during Janmashtami.

Jab janmain Shri Bhagwan jail darmyan murliya wale
khul gaye jail ke tale

Dewki ne pati ko jagaya tha sapne ka hal sunaya tha le jao putra Yashoda ke karo hawale

khul gaye………

Vasudev ji ki bedi tuti thi takdir Kans ki phuti thi ho gaye mast sab so gaye pahare wale

khul gaye……

Vasudev ji chale agadi ko le kar ke Krishna Murari ko pahunche Yamuna tat yamuna bhare ubare

khul gaye…..

Vasudev ji ne bhed na paya tha prabhu ji ne pair badhaya tha phunche Yashoda ke nikat muraliya wale

khul gaye……….

Ghar ghar main batat badhai hai ham sabne khushiyan manai hai pad gaye Kans raja ki jan ke lale

khul gaye jail ke tale

Jab janmain Shri Bhagwan jail darmayan muraliya wale khul gaye jail ke tale

Contributed by: Rohit Tiwari

Manihari ka bhesh banaya, Shyam chudi bechne aaya Chhaliya ka bhesh banaya, Shyam chudi bechne aaya Chhaliya ka bhesh banaya

Shyam chudi bechne aaya

Galiyon mein shor machaya, Shyam chudi bechne aaya Chhaliya ka bhesh banaya,

Chhaliya ka bhesh banaya

Radha ne suni Lalita se kahi Mohan ko turant bulaya Shyam chudi bechne aaya,

Chhaliya ka bhesh banaya

Chudi laal nahi pehnu Chudi hari nahi pehnu Mujhe Shyam rang hai bhaaya, Shyam chudi bechne aaya Chhaliya ka bhesh banaya,

Shyam chudi bechne aaya

Radha pehnan lagi Shyam pehnane lage Radha ne haath badaya, Shyam chudi bechne aaya Chhaliya ka bhesh banaya,

Shyam chudi bechne aaya

Radha kehne lagi Tum toh chhaliya Bade dheere se haath dabaya Shyam chudi bechne aaya, Chhaliya ka bhesh banaya Chhaliya ka bhesh banaya,

Manihari ka bhesh banaya

Shyam chudi bechne aaya, Chhaliya ka bhesh banaya Chhaliya ka bhesh banaya,

Shyam chudi bechne aaya.

Chadar lambi taan na so, Shyam japo Shyamjapo
Jiwan ki ghariya vyartha na kho, Shyam japo Shyam japo.

Duniya mein aake kya kiya, ghari bhar na prabhu ka naam liya
Vishayan de vich jindagi na kho, Shyam japo Shyam japo.

Shyam toh sukh ka saar hai, jiwan ka aadhar hai
Uske siwa marg na koo, Shyam japo Shyam japo

Bhakti mein manua dhyan dhar, ujraa ghar aabad kar Agyan ka bande neend na so, Shyam japo Shyam japo

Contributed By: Ruchi

Bhajo Radhe Govinda Gopala Tera pyara naam hai Gopala Tera pyara naam hai

Nandalala Tera pyara naam hai

Mor mukat maathe tilak viraje Gale vaijanthimala Gale vaijanthimala Koi kahe Vasudev ka Nandan Koi kahe Nandalala Koi kahe Nandalala

Bhajo Radhe Govinda . . .

Gaj aur Grehe lade jal bitar Jal mein chakra chalaya Jal mein chakra chalaya Jab jab bhid padi bhagaton par Nanggi pairin dhaya Nanggi pairin dhaya

Bhajo Radhe Govinda.

Choti choti gaiyan, chote chote gawaal,
chote se mere, madan gopal

mor mukut mathe saaje, gale mein swaranmaal,
chote se mere madan gopal

Kaano mein karanphool, haathon mein ratnajadhit hath haar,
chote se mere madan gopal

pitamber saaje tan pe, uspe sundar motiyon ki maal
chote se mere madan gopal

pairon mein jhanjhar sohe, jab nache hari angana dwaar.
Chote se mere madan gopal

Bhaye sab ke mann ko bal gopal,Karke solah shringar,
chote se mere Madan Gopal

Mere pyare nandlal, kaise karoon tohri mahima ka bakhan, janam liya mathura nagariya, karne danavon ka sanghar

kaise karoon tohri mahima ka Bakhan.

Janam data thi Devki Mata, Yashoda ko bhi diya maa ka samman
kaise karoon tohri mahima ka bakhan

Putana ko mukt kiya, har liye Kansa ke pran
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.

Gopiyon sang raas kiya, Radha ko diya sampurna pyar.
Kaise karoon tohri mahima ka bakhan.

Chaliyon sang chal kiya, deeno sang seedha vyavhar,
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.

Pandavon ka saath diya, Kauravon ko diya pachhar,
kaise karoon tohri mahima ka bakhan.

Mere pyare nandlal kaise karoon tohri mahima ka bakhan

More pranpriye Krishna, more pyare Girdhari,
Darsh do mohe, More pran chhootat jat.

Main neech nirbal prani, chahta jana chhodd duniya ka sath,
Darsh do mohe, more pran chhootat jat.

moh maya ke is bhanwar se ,do mujhe ab ubhar,
Darsh do mohe, more pran chhootat jat.

Karm ki gathariya ho gayi bhari, karo mera uddhar,
Darsh do mohe , more pran chhootat jat.

Sumiran kar tera antim kshan mein, mujhe milega swarg ka dwar,
Darsh do mohe , more pran chhootat jat.

More Pyare Girdhari. Sun lo ab arz humari,
Darsh de mohe , more pran chhootat jat

Jeevan ke sab rang hain jhoote
Rang lo mohe, apne rang mein Murari.

Mrigtrishna ke is jaal se ab karo mukti humari,
Rang lo Mohe, apne rang mein Murari.

Dukh-sukh, paap-punya hain aane jane.
Rang lo mohe, apne rang mein Murari

Mayajaal ke rang hai kacche, bas tohre naam ke pukke,
Rang lo mohe, apne rang mein Murari

Tohre naam se hoga is bhav sagar ka paar
Rang lo mohe, apne rang main Murari